Ghum-e-dunya hai, Ghum-e-insan hai aur main hun,
Aas hai, hasrat hai aur main hun.
Kahin pe fiqr ka alam hai kahin hain mastiaan sharaab ki,
Beparwah halat-e-insan hai aur main hun.
Sir-e-bazaar bikta hai, yahan imaan logon ka,
Niralay khel hai insan key aur main hun.
Yahan Hawwa ki beti bhi khul-e-sir aam phirti hai,
Ajab ye gherat-e-mardaan hai aur main hun.
FARHEEN tu kon hai? kia chahti hai?
Bus ik sawal hai aur main hun.
Pingback: Aur Main Hoon…. | Tea Break